Pages

Sunday, May 11, 2014

Ghazal : Ab kiska intezaar hai.

Image Credit : Khawar

Is tarah dhadakne ki kya wajah hai,
Aye dil, tujhe ab kiska intezaar hai.

In khamoshi se behte aansuon ka kya hai matlab,
Kyu itna yakeen hai, kyu ab bhi aitbaar hai.

Us khudgarz ke jhootey waadey they ya koi jaadu.
Jo mujh par ab tak asardaar hai.

Mujhe kya mila apne jazbaat, khwab-o-khayal luta kar,
Bas ek jism baaqi hai aur vo bhi beemar hai.

Khwaabon me mulaqaat ki hai ek aakhri  ummeed,
Magar soney ke liye bhi uski zulfon ka saaya darkaar hai.

Us ke chehre ki kashish ka nahin koi muqabla,
Jis ne door se ek jhalak dekha vo ab tak qarzdaar hai.

Chand khushiyon ki khatir kitne aasu bahaye aur minnaten ki,
Kehne ko to hum bhi badey khuddar hain.

Aur kuch na mila to uske sarey ghamon ko hi apnaya,
Usko ghamon ki kya zaroorat, uska khushiyon ka kaarobaar hai.

Khushiyon se dil bhar jaaye to usse kehna mujhse aa kar mile,
Jahan mera jism dafan hai, uske ghamon ka bhi wahin mazaar hai.


 Urdu Version:

اس طرح دھڈاکنے کی کیا وجہ ہے اے دل
تجھے اب کسکا انتظار ہے

ان خاموشی سے بہتے آسوں کا کیا ہے مطلب
کیو اتنا یقین ہے کیں اب بھی اعتبار ہے

اس خدگرز کے جھوٹے وادے تھے یا کوئی جادو
جو مجھ پر اب تک اسردار ہے

مجھے کیا ملا اپنے جذبات  خواب و خیال لٹا کر
بس اک جسم باقی ہے اور وہ بھی بیمار ہے

 خوابوں میں ملاقات کی ہے اک آخری امید
مگر سونے کے لئے بھی اسکی زلفوں کا سایا درکار ہے

اسکے چہرے کی کشش کا نہیں کوئی  مقابلہ
 جسنے دور سے اک جھلک دیکھا وہ اب تک قرضدار ہے

چند خوشیوں کی خاطر آسو بہاے اور منّتیں کی
کہنے کو تو ہم بھی بڑے خددار ہیں

اور کچھ نہ ملا تو اسکے سارے غموں کو ہی اپنایا
اسکو غموں کی کیا ضرورت اسکا خشیوں کا کاروبار ہے

خوشیوں سے دل بھر جائے تو اس سے کہنا مجھسے آکر ملے
جہاں میرا جسم دفن ہے اسکے غموں کا بھی وہیں مزار ہے